Blogging kaise shuru karein? Blogging shuru karne ke liye aapko kuch basic steps follow karne hote hain: 1. Niche Choose Karein: Aisa topic jisme aapko knowledge ho aur log usme interested ho. 2. Domain Name Aur Hosting Kharidein: Domain naam aapki website ka address hota hai (jaise www.apkablog.com). Hosting wo jagah hoti hai jahan aapki website ke files store hoti hain. 3. WordPress Install Karein: WordPress ek free CMS hai jisse aap apna blog easily design kar sakte ho. 4. Blog Design Aur Theme Choose Karein: Achi theme select karke apne blog ko professional look dein. 5. High-Quality Content Likhein: Aise articles likhein jo users ke questions ka answer dein aur unke problems solve karein. 6. SEO Seekhein: Search Engine Optimization se aap apne blog ko Google me rank kara sakte ho. 7. Monetization: Jab traffic aane lage, to aap AdSense, affiliate marketing, sponsored posts ke through income gene rate kar sakte hain.